Saturday, March 17, 2007

More More Galib

Kyon apni kabar khod raha hai Galib...
Kyon apni kabar khod raha hai Galib...
La, phawda mujhe de.

NONSENSE ....

Yeh aankhen hai ya neeli jheel?
Yeh aankhen hai ya neeli jheel?
So? What's the big deal?

Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain......

JAISE KAL CHAMAK RAHE THE !!!

mujhe phir wahi yaad aane lage hain
mujhe phir wahi yaad aane lage hain
mujhe...
kyon infinite loop me dal rahe hai??

AD...

Mein tere pyar mein paagal hua chhaliye
Mein tere pyar mein paagal hua chhaliye,
Iodex maliye kaam pe chaliye

Tum har raat mere khwabon mein aao,
Tum har raat mujhe yuunhi satao,
Melody khao khud jaan jao.

Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan

Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe pita
Tan ki shakti, man ki shakti, Bournvita

THODA SENSE ....

Jo pyaali mein mazaa woh Thaali mein kahan
Jo saali se mazaa gharwaali se kahan.

Sharab Mat pee galib masjid mein baith kar...
Sharab Mat pee galib masjid mein baith kar...
Ek hi botal hai, kahin khuda na mang le.

DOOR SE DEKHA ...

Door se dekha to kuchh dikha nahi...
Dooor se dekhaaa... to kuchh dikha nahi...
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi

Door se dekha to Patthhar dikhta tha...
Dooor se dekha... to Patthharr dikhtaa thaa...
Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa.

Door se dekha to paani baras raha tha
Door se dekha to paani baras raha tha
Paas gaya... to bheeg gaya.

Door se dekha to sher tha
Door se dekha to sher tha
Is liye paas gaya hi naihn.

Door se Dekha to ganje uchak rahe thea
Door se Dekha to ganje uchak rahe thea
Pass jake dekha to unde ubal rahe the..

More Galib

Ladka bola :
kash in hasinao ke baap mar jate,
kash in hasinao ke baap mar jate,
bahana gham ka hota, hum inke ghar to aate.
Ladki boli:
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,
Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai.

Voh Sadak Ke Us Paar Thi Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein.

Tum pucho aur hum na bata ye aise to halat nahi,
Bas jara sa dil tuta hai aur koi bat nahi.

Mai akela hi chala tha janibemanzil ki taraf,
Log aate gaye aur karwa banta gaya.

Kya hamari daur ke kuch pine wale uth gaye,
Aaj khali kyo lag rahe hai paimane kai.

Tum aa gaye ho ; Noor aa gaya hai
Chalo teeno picture challe.....

Door se dekha to kuchh dikha nahi......
Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi....
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi.

Galibbbbbbbbbbb

Itni raat gaye Kyon apni qabra khod raha hai Galib
Itni raat gaye kyon apni qabara khod raha hai Galib
La, phawda mujhe de de !!

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath!
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath!
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain.

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Hawa hi hawa hai.

Na jane ashk se aakho me kyo hai aaye hue,
Gujar gaya hai jamana tuzhe bhula ye huye.

Jo hamse tum n mile to kuch hum mar na gaye,
Kahne ko bat rehe gayi aur din gujar gaye.

Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,
Pachtawoge suno ye basti ujad ke.

Janaje ko woh mere rukwa ke bole,
ye launtenge kab tak, kaha ja rahe ho.

Koi aahat koi aawaz koi chah nahi,
Dil ki galiya badi sunsan hai aaye koi.

Khushi se aag laga o es muhalle me,
Mera makan hi nahi tumhara ghar bhi hai.

Pahle to khushi me bhi nikal aate the aasu,
Aab ranj bhi hota hai to rona nahi aata.

Kata samaz kar hamse n daman bacha e ye,
Gujri hui bahar ki ek yadgar hu.

Bechaini ya samet ke sare zaha ki,
Jab kuch n ban saka to mera dil bana diya.

Shayaries

Doobe hua hamare sitare hain,
Kya gam hi naseeb mein hamare hain?
Tair rahe hain thak kar bhi,
Isi ummed mein ke dariya-e-gham ke bhi kahin kinaare hain,
Jaane kab khushi ka saamnaa hoga,
Jahan tak nazar jaati hai bas bebasi ke hi nazaare hain….
hum sirf aapke sahaare hai…… hum sirf aapke sahaare hai..

log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain,
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain.
main na jugnu hun diya hun na koi tara hun,
roshni wale mere nam se jalte kyun hain.
nind se mera talluq hi nahin barson se,
khwab aake meri chat pe tahalte kyun hain.
mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye,
aur sab log yahin ake phisalte kyun hain.

Mohabbat me hum mashoor kya huwe..
har harkat humari deewangi lagnay lagi..
lafz jo niklay haal-e-dil ka bayan karne ,
zamane ko har wo baat shahyari lagnay lagi

Ghalib sun! yeh duniya hai… duniya!,

duniya meiN ghum chhupanA padta hai,

dil main chahe lakh ghum ho,

mehfil meiN muskarAna hi padta hai

AshkoN ko humne kayi baar roka,

phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi,

Bharosa to tha hameiN apne aap par magar,

unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.

Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata

Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye

Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha

Isiliye mujhe zinda hi maar gaye….

Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye
hum hawao ki tarah jakar use chuh aye
usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya
mudhaton baad meri ankho me ansu aye

Zindagi mein ek haseen galti kar baithe

Hum nadani mein pyar kar baithe

Dil ko apne khud thokar maar baithe

Ek bewafaa se murhum ki umeed kar baithe

Barbaad kar gaye woh zindagi pyaar ke naam pe,
Bewafai mili hume wafa ke naam pe,
Aise zakham de gaye woh dawa ke naam pe,
Khuda bhi ro pada meri mohobbat ke anjaam pe!!!!!!!!!!

Kadam - Kadam pe hawaon se taalluk rakhna
Dost ke daur pe dosti ka asra rakhna
Hamari yaadon ki khusboo jarur aayegi
Bas apne dil ka darwaza khula rakhna!!

--