Friday, March 21, 2008

Happy Holi

 


Wishing You All a very "Happy Holi" HOLI :The Festival of Colours
 
 "Makki ki Roti, Nimbu ka Aachar"  
Makki ki Roti, Nimbu ka Aachar,
Suraj Ki Kirne, Khushiyo ki Bahar,
Chand Ki Chandi, Apno ka Pyar,
Mubarak Ho Aapko, HOLI ka Tyohar

 

"Rango Ke Tyohar Me"  
Rango Ke Tyohar Me Sabhi Rango Ki Ho Bharmar,
Sunhari Dhup Barsat ke Bad
thodi Si Hashi Har Bat ke Bad
Usi Tarah Ho Mubarak App Ko Ye Nayi Subah
Kal rat Ke Bad Happy Holi.
 
 "May god gift u all the color"  

May god gift u all the colors of life,

colors of joy, colors of happiness, colors of friendship,
colors of luv n all other colors u want to paint in ur life.
Happy Holi.


 "If wishes came in rainbow colours"
If wishes came in rainbow colours,
I would send you the brightest ones to say,
Happy Holi !
 

 

Khaa key gujiya, pee key bhaang,
laaga k thora thora sa rang,
baaja ke dholak aur mridang,
khele holi hum tere sang.
HOLI MUBARAK!




Holi par sabhi ko sabhi rango se milkar ek rang,
apko mile jo apki khusiyon ko rangin bana de.
Happy Holi!!



Rang udaye Pichkari
rang se rang jaye duniya sari
holi ke rang aapke jeevan ko rang de
ye shubhakaamna hai hamari.
HAPPY HOLI !!!


Rango Ke Tyohar Me Sabhi Rango Ki Ho Bharmar,
Dher Saari Khushiyo Se Bhara Ho Aapka Sansar,
Yahi Dua hai Bhagwan Se Hamari Har bar,
Holi Mubarak!





Pichkari ki dhar, gular ki bauchar,
apno ka pyar, yahi hai HOLI ka tyohar.
Wishing you and your family
a very hapy and colourful HOLI.






Gul ne gulshan se gulfam bheja hai,
Sitaro ne aasman se salaam bheja hai,
Mubaraq ho aapko holi ka tyohar,
Humne dil se yeh paigam bheja hai.





Dipped in hues of love and trust has come the festival of Holi.
Happy Holi!!




Bright colors, water balloons,
lavish gujiyas and melodious songs
are the ingredients of perfect Holi.
Wish you a very happy and wonderful Holi.




Best wishes to you for a Holi filled

with sweet moments and memories to cherish for long.
Happy Holi !!!


 

 

 

Thursday, March 20, 2008

Aaj jaane ki jidd na karo

Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo
Yuhi pehlu mein baithe raho
Yuhi pehlu mein baithe raho
Aaj jane ki zid na karo

Haaye mar jaayein ge
Hum to lutt jaayein ge
Aisi batein kiya na karo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo

Tumhi socho zara
kyu na rokein tumhey
jan jaati hai jab uth ke jate ho tum
jan jaati hai jab uth ke jate ho tum
tum ko apni qasam jaan-e-jaa
baat itni meri maan lo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo


Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
chand ghariya yahi hain jo azad hai
chand ghariya yahi hain jo azad hai
inko khokar kahen jaan-e-jaan
umr bhar na tarastey raho
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo

Kitna masoom aur rangeen hai yeh sama
husn aur ishq ki aaj me\'raj hai
husn aur ishq ki aaj me\'raj hai
kal ki kis ko khabar jaan-e-jaa\'n


rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehlu mein bethey raho
Yunhi pehlu mein bethey raho

Aaj jaane ki zid na karo

Wednesday, March 19, 2008

Good Morning...

Always welcome a new day with a
'Smile' on your lips,
'Love' in your heart,
'Good thoughts' in your mind,
And you will have a
wonderful day ahead....

Jame Raho from Developer Zameen par

For Project People:

Kas ke joota ....Kas ke belt
khons ke andar apni shirt
Office ko chali sawaari
kandhon pe hai zimmedari

haath mein notebook
.....
man mein dum
Aaj to CR execute karenge hum
har issue se takrayenge
Migration k baad hi ghar jayenge hum

Project ka naara jame raho
TL ka ishaara jame raho
Project ka naara jame raho
TL ka ishaara jame raho

ye sote bhee hain attention
Testing karne ki hai tension
mehnat inko pyari hai
ekdum aagyakari hain

ye Cafeteria par hi jeete hain
ye Chai Coffee peete hain
bewaqt sote bewaqt khate
taan ke seena badhte jate

Project ka naara jame raho...


For Bench People:


yahaan alag andaz hai
jaise chidta koi saaz hai
har kaam ko taala karte hain
ye sapne paala karte hain

ye hardum socha karte hain
ye khud se poocha karte hain

kyon project ka naara jame raho...

ye project ke kabhi ghulam nahin
inhe kisi baat ka dhyan nahin
Girlfriend se milne jaate hain
Mobile par batiyate hain

ye mails forward karte hain
novels saare padhte hai
aur company k discussion forum pe
ye kalakariyan karte hain

Bench ka naara jame raho..


Good one From Lage Raho Munnabhai ....................!!

WAQT NAHIN ............


'
WAQT NAHI '

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.........

Friday, March 14, 2008