Saturday, October 27, 2007

Shayaries

1) Chandni se chamakti is raat mein,
ek khushboo si hai har baat mein,
hai sitaare mere kadmo ke tale,
Ek ehsaas hai aaj unki har aahat mein,
paas aake bhi kyu hein duriya,
koi pyasa hein kyu barsat mein.

2) Pyar ko chod kar tum koi aur baatkaro
Ab mujhe pyar ki har baat se dar lagta hai
Meri khatir na woh badnam kahin ho jaye
Esliye unki har mulaqat se dar lagta hai

3) Khuda hamari tarah tumhe tanhaayi na de,
Hum jee lenge tanha, par tumhe Judai na de,
hamari nigahon mein basi rahe apki soorat,
Aapko bhale hi hum dikhayi na de

4) Aaj dil puch baitha, apni hi tasveer se,
Tune kya paya hai apni taqder se,
Aapki tasveer dilke aaine ko dikhai,
Aur kaha aisa dost paya hai dunia ki bheed se.

5) Sapna Kabhi sakar nahi hota mohabbat ka koi aakar nahi hota
sub kuch hojata hai is dunya mein magar
dubara kisi se sacha pyaar nahi hota.....

6) Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota...

7) Jane kaha tha or kaha aa gaya!
duniya me bankar mehman aa gaye!
Abhi to zindagi ki kitab puri padhi bhi nahi aur jane kitne imtihan aa gaye...

8) Life mein kbhi compromise karna pade to don't hesitate. BCoz......
Jhukta wahi hai jisme jaan hoti hai. Akad hi to murde ki pehchan hoti hai..

9) Dil ne socha khat likhu, mili na shayari pyar wali. Phir socha likhu phool se, mili na dali gulab wali. Isliye sms bhej rahi hu taki toote na dosti pyar
wali.

10) Jo Palpal Chalthi Hai Who Zindagi Hai.
Jo Palpal Jalthi Hai Who Roshani Hai.
Jo Palpal Kilthi Hai Who Mohabbat Hai. Par Jo Harpal Saath Hai Woh DOSTHI Hai....

 

 

Friday, October 5, 2007

Shayaries

 

Gam nahi waha jaha ho fasana tera,

Khushiya dhundti rahe aashiyana tera,

Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho,

Ye duniya bhula na sake muskurana tera..

Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum,

Bas yehi ek wada nibha payenge hum,

Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,

Tera naam dil se na mita payenge hum..

 Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi...
Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi...
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi... Tanhai hi milegi !