Wednesday, March 19, 2008

Good Morning...

Always welcome a new day with a
'Smile' on your lips,
'Love' in your heart,
'Good thoughts' in your mind,
And you will have a
wonderful day ahead....

Jame Raho from Developer Zameen par

For Project People:

Kas ke joota ....Kas ke belt
khons ke andar apni shirt
Office ko chali sawaari
kandhon pe hai zimmedari

haath mein notebook
.....
man mein dum
Aaj to CR execute karenge hum
har issue se takrayenge
Migration k baad hi ghar jayenge hum

Project ka naara jame raho
TL ka ishaara jame raho
Project ka naara jame raho
TL ka ishaara jame raho

ye sote bhee hain attention
Testing karne ki hai tension
mehnat inko pyari hai
ekdum aagyakari hain

ye Cafeteria par hi jeete hain
ye Chai Coffee peete hain
bewaqt sote bewaqt khate
taan ke seena badhte jate

Project ka naara jame raho...


For Bench People:


yahaan alag andaz hai
jaise chidta koi saaz hai
har kaam ko taala karte hain
ye sapne paala karte hain

ye hardum socha karte hain
ye khud se poocha karte hain

kyon project ka naara jame raho...

ye project ke kabhi ghulam nahin
inhe kisi baat ka dhyan nahin
Girlfriend se milne jaate hain
Mobile par batiyate hain

ye mails forward karte hain
novels saare padhte hai
aur company k discussion forum pe
ye kalakariyan karte hain

Bench ka naara jame raho..


Good one From Lage Raho Munnabhai ....................!!

WAQT NAHIN ............


'
WAQT NAHI '

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.........