Saturday, March 17, 2007

Galibbbbbbbbbbb

Itni raat gaye Kyon apni qabra khod raha hai Galib
Itni raat gaye kyon apni qabara khod raha hai Galib
La, phawda mujhe de de !!


Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath!
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath!
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !


Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain.


Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Hawa hi hawa hai.


Na jane ashk se aakho me kyo hai aaye hue,
Gujar gaya hai jamana tuzhe bhula ye huye.


Jo hamse tum n mile to kuch hum mar na gaye,
Kahne ko bat rehe gayi aur din gujar gaye.


Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,
Pachtawoge suno ye basti ujad ke.


Janaje ko woh mere rukwa ke bole,
ye launtenge kab tak, kaha ja rahe ho.


Koi aahat koi aawaz koi chah nahi,
Dil ki galiya badi sunsan hai aaye koi.


Khushi se aag laga o es muhalle me,
Mera makan hi nahi tumhara ghar bhi hai.


Pahle to khushi me bhi nikal aate the aasu,
Aab ranj bhi hota hai to rona nahi aata.


Kata samaz kar hamse n daman bacha e ye,
Gujri hui bahar ki ek yadgar hu.


Bechaini ya samet ke sare zaha ki,
Jab kuch n ban saka to mera dil bana diya.

No comments: