Tuesday, March 6, 2007

Shayaries----Dil ka Dard..

in tanhayio mei mera bhi dum guthta hai...
is intezaar mei mai bhi tadaptha hu....
dard hume bhi hotha hai....rothey hum bhi hai...
lekin wo teri yaadei jo hai mere paas....
nahi honey dethi in tanhayio ka ehsaas..
yeh safar jo khatm hone ka naam nahi le raha...
yeh zakhm jo bharney ka naam nahi le raha...
lekin tumse milne ki umeedh jo hai dil mei...
wo rakthi hai zinda mujhko har mushkil mei..


yun hi keh jaati hun kuch batein...afsaano mein.....
baaki hain abhee...chand boondein paimano mein......
jinse sun na chahta hun.....woh kuch kehte nahi......
yun hi reh jaate hain...mere khwaab armaano mein.......
main kahan kehta hoon ki woh.. khudgarz hai....zaalim hai........
nahi khinchi shayad.. woh lakeerien khuda ne in haathon mein....."


Milke bichadna dastoor hai zindagi ka
Ek yahi kissa mashhur hai zindagi ka.
Beete hue pal kabhi lautkar nahi aate
yahi sabse bada kasoor hai Zindagi ka

Lehro se milkar na wo beh sake na hum
Ek duje k dil me na wo reh sake na hum.
Jeet lete aasma ek din lekin
palko ki khamoshi ko honton se na wo keh sake na hum

Tanhaayi ka lamba safar katt-ta hi nahi
Aapke bina koi accha lagta hi nahi.
Koi nahi jo pooch ley iss dard-e-dil ka haal
Aapke bin ye DIL kahi lagta hi nahi

Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi.
tujh se mile zamana hua magar,
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi.!!

Milke bichadna dastoor hai zindagi ka

Ek yahi kissa mashhur hai zindagi ka.
Beete hue pal kabhi lautkar nahi aate
yahi sabse bada kasoor hai Zindagi ka

Asman ko neend aye to sulaau kahan,
dharti ko maut aye to dafnao kahan,
Sagar men lehar aye to chupao kahan,
jab teri yaad aye to jau kahan!!!

Kitna bebas he insan kismat ke aage,
Kitne dur he sapne hakikat ke aage,
Koi ruki hui dhadkan se puchhe,
Kitna tadpta hai dil MOHABBAT ke aage.

Woh raate kuchha or hogi.
Woh baate kuchha or hogi.
Unke aane ke bad
woh mulakaten kuchha or hogi.

Jo teer bhi ata hai khali nahi jata
mayush mere dar se savali nahi jata
kantehi kiya karte he phoolo ki hifazat
Phoolo ko bachane mali nahi jata.


Aankho ko aankho ka pata na hota agar.
Dil ko dard ka ehsaas na hota agar.!
Kitna hasin hota zindagi ka ye safar.!
Milkar yun bichhadna na hota .

No comments: