Thursday, March 15, 2007

More Dard Bhari Shayaries

Mere janaje main usse naa bulana,
Mohaabat ki tauhin hogi...
main 4 logo ke khandho par jaa raha hounga,
or meri jaan..meri jaan....paidal chal rahi hogi..!!!

Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye…

Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain …

milna itifaak tha bicharna naseeb tha
wo utna he door ho gaye jitna kareeb tha
hum usko dekhne k liye taraste he rahe
jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha

No comments: