SWEETS AT MY DESK…!
Subha Utha , Nahaya ..Mast Deo Lagaya...
Usko Yaad Kiya Aur Muskuraya...
Muskurahat Ka Karan Tha , Kya Sapna Liya Tha Raat Ko
Main Company Ka Ceo Aur My Dream Girl Was My Pmo.
Mann To Kiyan So Jaon, Swapn Ki Duniya Mein Laut Jaun...
Phir Socha Uski Jhalak Paani Hain Office Mein, Kahin Late Na Ho Jaun...
Goggles Lagaya Style Mein, Sutta Niptaya,
Bike Kiya Self Start, Accelerater Maara
Pahooncha Office...Card Swipe Kara..
Khola Pc ....Lotus Notes Top Par Mail Uska Paaya....
Mailbox Dekh Sanatta Chaya..
Uska Mail Ka Subject Humien Na Bhaya..
Ek Baar Phir Kiya Mail Ka Subject Check
Oh No ...Not Again..Same Words..."Sweets At My Desk"
Darte Darte Khola Mail...Andar Wedding Invitation Paaya...
Lo Bhaiya Lut Gayee Duniya...Mandraya Kala Saaya...
Dukhi Mann Se Socha ...Chalo Ek Baar Contents To Padd Le..
Naam Kya Hai Ladke Ka...Details Se Rubaru To Ho Le...
Phir Ek Baar Mann Chakkar Khaya...Uska Naam Kahin Naa Paaya..
Mail Ka Phir Se Audit Kiya...Dil Ko Ncr Report Acha Aaya...
Mail Ke Subject Se Achi Mail Ke Body Nikli..
Jiski Shaadi Thi ..Woh To Uski Sister Nikli...
Bhujti Hui Low Phir Phadphadai...
Ek Umeed Jaagi..Asha Ki Ek Kiran Nazar Aayee.
Josh Bhare Kadmon Se Rukh Kiya Uske Cubicle Ki Aur....
Ab Sirf Uskee Jhalak Nahin ..Yeh Dil Maange More..
Aaj Tak Cubicle Ki Diwaron Se Dekha Tha Usko..
Dekhte Hee Usne Bola ..Lo Dear, Sweets Lo..
Humne Suna "Dear" , Humne Kaha Ab No Fear.
Kiya Jhuki Aankhon Se Usko Stare, Uthaya Sweats Ka Apna Share..
"Dear" Shabd Kitna Acha Lagne Laga Tha....
Uske Aur Mere Beech Ka Loc Ab Mitne Laga Tha...
Baton Hi Baton Mein Usko Bataya Mail Padke Hua Confusion Tha
Reply Jo Bataya Usne, Phir Se Chida Kargil Tha..
Phir Se Low Bhuj Gayee Thi, Umeed Mit Gayee Thi ...
Uski Sagai Ki Mail To Ek Hafte Pahle Bounce Back Ho Chuki Thi...
Maa Kasam Ek Hi Gaana Yaad Aa Raha Tha Cham Se...
Kasam Ki Kasam , Yeh Pyaar Na Hoga Ab Humse...
O Haseeno Sun Lo Meri Iltaaja,
Please Mat Hona Humse Khafa,
Kuch Bhi Ho Jaaye Ab Na Hoga Adjust,
Ab Mat Daalna Mail With Subject "Sweets At My Desk"
No comments:
Post a Comment