Thursday, March 20, 2008

Aaj jaane ki jidd na karo

Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo
Yuhi pehlu mein baithe raho
Yuhi pehlu mein baithe raho
Aaj jane ki zid na karo

Haaye mar jaayein ge
Hum to lutt jaayein ge
Aisi batein kiya na karo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo

Tumhi socho zara
kyu na rokein tumhey
jan jaati hai jab uth ke jate ho tum
jan jaati hai jab uth ke jate ho tum
tum ko apni qasam jaan-e-jaa
baat itni meri maan lo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo


Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
chand ghariya yahi hain jo azad hai
chand ghariya yahi hain jo azad hai
inko khokar kahen jaan-e-jaan
umr bhar na tarastey raho
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo

Kitna masoom aur rangeen hai yeh sama
husn aur ishq ki aaj me\'raj hai
husn aur ishq ki aaj me\'raj hai
kal ki kis ko khabar jaan-e-jaa\'n


rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehlu mein bethey raho
Yunhi pehlu mein bethey raho

Aaj jaane ki zid na karo

No comments: