Wednesday, August 29, 2007

Dard-E-Gam

Saza dene wale raza puchte hai....

Jeene ki hum se wajah puchte hai....

Dete hai khud hi zeher hume....

Aur aakar fir “kitna hua hai asar” puchte hai……….!!!

 

Kissi ke waade par zindagi tabah kar baithe....

Diwangi me ye kaisa gunah kar baithe....

Ek CHAND ki aarzoo ke liye....

Hum apni hasin raaton ko `FANAAH` kar baithe.... !!!

 

Wo dhundte rahe hume Dagar-Dagar. ...

Shayad unhe humari talash thi....

Par afsoos jis kabar par the unke kadam....

Ussi me humari laash thi..!!

 

Apni Dhadkano ki aawaz suni hai maine....

Apni aankhon se koi baat kahi hai maine....

Bas ek didaar ke liye khud ko sambhale baithe hai....

Naa jaane ishq me kaun si raah chuni hai maine…!!!

 

Koi rok naa paayi jise lambi dagar bhi....

Ab thaka deta usse zara sa safar bhi....!!!

 

Mehfil na sahi tanhai to milti hai....

Milna na sahi judaii to milti hai....

Kaun kehta hai pyaar me kuch nahi milta....

Wafa na sahi be-wafaii to milti hai ……….!!

 

Parindon ko milegi manzil ek din,

Ye fele hue unke par bolte hain,

Khamosh rehte hain duniya me vo log,

Zamane me jinke hunar bolte hain.........!!!!!

 

1 comment:

lalit mohan pandey said...

abe tujhe itna dard kisne de diya ...????